Hum chotte bache hi ache the


Hum chotte bache hi ache the,
Chahe naak behta, par dil ke to sache the!
School jate waqt zaroor rote the,
Par lunch tym ke lamhe bhi anmol hote the!
Mummy ki dant to padti thi,
But uske baad ka pyaar ki baat hi kuj aur thi!
Wo picnic ke kisse,
Koi yahan aur koi wahan fisle!
Pyaare the humko gudiya, gudde aur kholne,
Books aur copies to jaise pade hote the ek kone!
Aaj to bhoole bhatke firte hain yahan wahan,
Bas kaam main hi sama gaya hai sara jahan!
Paise aur tarriki ki bheed main kho gaye hain hum,
Apne sapne to jaise bhool gaye hain hum!
Jhooth fareb k beech khade hain hum,
Na chahte hue bhi kissi ke liye bure kise ke liye ache hain hum!
Hum chotte bache hi ache the,
Chahe naak behta, par dil ke to sache the!

Comments

Post a Comment

Popular Posts