Ek Prann!


Ek andekha sa saya hai
Patanhi kaisa isne apna jaal bichaya hai
Har taraf machi hai hahakar,  
Chahe ho shaher, desh videsh ya humara chota sa pariwaar!

Koi kehta mayavi Shakti hai ye, koi kehta bhagwaan ka prakop,
Koi kehta science ki galti to koi kehta insaan ka dhusht roop!

Jo bhi hai ye, jahan se bhi aya hai,
Ab iska karna hume safaya hai!!

Ab to ek hi raag apnana hai coronavirus ko bhgana hai,
Zidd p ad jana hai aur iss andekhe dushman ko jad se mitana hai!

Ye zidd nhi. Ek prann hai..
Apne aap ko bachane ka pran,
Apne parwaar ko bachane ka pran,
Apne desh ko bachane ka pran
Aur apne sansaar ko bachane ka pran!

Aao doston kare ek vada...
Chahe kaam kam ho ya zyada..
Nhi jayenge hum bahar,
Bhale ghar main ho thoda hi ahaar, 

Haath dhoyenge hum baar baar,
Aur sabhi k Saath rakhenge ache achar vyvhaar! 

Zindagi ki iss lambi daud main.. Chota as padav hai ye..
Guzar raha thoda dheeme, par yakin mano bahaav hai ye!

Bas rakhna hume hai khud ko mazboot,
Mil k hi to hara payenge ise... Jo khud ko samjha baitha hai atoot!

Sirf immunity hi nhi.. Will power bhi karni hai hume strong,
Tabhi kar payenge hum safaya iss germ ka n we will not let it live long!!

Comments

Post a Comment

Popular Posts