Pehli barsaat!!

Apni dastan kaise karun bayan...
Is daur ki ab shuruat karu kahan

Na raat ka pata hai, na din ka hosh hai,
Mahine aur saal kab guzre ye bhi ek paheli khamosh hai!

Shayad hota hoga har maa k saath,
Par mere liye to pehli barsaat hai...!!

Barsaat thandi wali ....



Jo dekhne main yun to bahut lubhavni hoti,
Par deke jati asal main khasi zukham hai!

Sukoon milta hai bahut bachon k pyaar main,
Kuj kho si jati hun apni ladli ki chupri chopri baton main aur har din badti shararton main!

Par ek katra nahi reh jata sudh budh ka din k ant main!

Are ant kahan... Raat to ek aur jang ki shuruat hai,
Kyunki bataya nhi na maine apko mere chote ladsaab ko aye abhi hua nhi saal hai!!

Hota hoga har maa k saath... Par mere liye to pehli barsaat hai!!

Likh rahi hun aaj bahut dino k baad isliye shayad alfaaz kam aur mayne zyada hain...
Shikayat nhi kisi se bas darkhwast hai,
Har maa ki kadar zaroor karna ... Kyuki maa shabd apne aap main hi ik raaz hai!!

Comments

Post a Comment

Popular Posts