Paisa.......!


Na sab kuj hai
Phir bhi bahut kuj hai,
Ye paisa zindagi Ki hakikat hai,
Rishto ka ayena hai,
Aur insaniyat ki pareeksha hai!
Na ho, to tumhe tumse milwata hai,
Aur ho to gairo se tumhari charcha karwata hai!
Ho to himmat,
Na ho to kamzor hone ka ehsaas karata hai!

Ye paisa zindagi main rishto k naye mayne dikhata hai,
Kitni kiski ehmiyat uska ehsaas karata hai!

Age badhne Ki hosla bhi hai ye,
Uchayi se girne Ki wajah bhi,

Jo jaise istemal kare,
Ye usi k rang main razi!

Logo ka guroor bhi hai,
Aur kisi k haath failane Ki wajah!

Ahankaar ka Malik bhi hai,
Aur gareebo ka madadgaar!

Jo bhi ho aaj

sab k jeevan maksad hai ye,
Sab k pyaar Ki boli!
Na ho to gum,
Warna to khilata hai soookhe main bhi rangoli!

Paisa paisa sab kare
Pyaar na bole koi,
Re man tu bhi vichar le,
Ab Teri bhi keemat sasti hoyi!

Comments

Popular Posts