Zindagi ka falsafa!




sapne sanjota hai jo bagwaan,
use poora karta hai in sanson se insan!

tabhi to sapne ke tootne ki saza bhi dekhta hai bhagwaan,
kyunki hume banna hai uske ehsano ka kadardaan!

Kyun kehte hain log,
Sab hain sanjog!

Jab bhagwaan ne mehnat aur himaat ka jasba diya,
To kyun nahi humne uska har sapna poora kiya!

Magna hai to bhagwaan se sabr aur takat mango,
Kismat ke naam pe apne farzo se mat bhago!

Agar kaam ki shuruat hui hai,
To uska poora hona bhi tai hai!

Bas ek khud pe vishwas aur doosra bhagwaan ke sapne ko poora karne ki chah,
Yahi chahiye aur kuj nhi ban sakti wajah!

Zindagi ko poora karne ki,
Aur har mushkil se ladne ki!

Comments

Popular Posts