Pyaar



Pyaar kam ya zyada nhi hota,
pyaar itna ya utna bhi nhi hota,
pyaar to bas hota hai ya nhi hota,
aur hota hai to zindagi se badkar aur har khwaish se upar hota hai,
jisko paane ka junoon bhagwaan ki pooja k saman hai,
aur jiska nasha waqt k saath sirf badhta har, kabhi ghat ta nahi!

pyaar ki koi wajah bhi nhi hoti,
yeh bas ho jata hai,
uska saath, baat, haath, har ehsaas acha lagta hai,
koi ek wajah hoti,
to woh pyaar na kehlata,
waqt ka pher hota, jo din k saath dhal jata,
aur mahino main badal jata!

Par pyaar to woh muskurahat hai,
jo dil se nikal kar chehre pe chalakti hai,
jo sanson main chalkar ankhon se behti hai,
aur yeh ehassas hi insaan ko apne pyaar k liye ladne ki takat deta hai,
aur dheere dheere pyaar ka saath hi humari ibadat ban jati hai!

Comments

  1. Too Good! Kahan se laati hai itni acchi cheez

    ReplyDelete
  2. @ deepika ...aapki kripa hai ji!
    @ arun sir ...thnx ..but cheez kya ?

    ReplyDelete
  3. my god soni!!!!!!kya likhti hai tu,,,,,,full marks,,,,,,,,

    ReplyDelete
  4. @ manpreet ...thnk u teacher ji ..bas apne full marks de diye ..aur kya chahiye mujhe!!

    ReplyDelete
  5. what about the fact that pyaar is like an energy, it changes from 1 person to another.

    ReplyDelete
  6. @ pratik ...i didnt know this fact ..nor i have understud it!

    ReplyDelete
  7. wow dost u r so sweet.....................

    ReplyDelete
  8. i like d rhythm in ur poetry.
    n d use of alliteration is superb

    ReplyDelete
  9. Hey Gul

    Very well written,..keep it up

    ......Rajnish Kumar

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts